kaise kah dun kahin elan nahin karta hai
By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
kaise kah dun kahin e'lan nahin karta hai
wo bhi khamoshi se ehsan nahin karta hai
dil ko tahrik-e-taraqqi to bahut milti hai
hausla phir bhi ye nadan nahin karta hai
aap ke nam se mansub hue hain jab se
ab hamein koi pareshan nahin karta hai
kaam karta hai bahut ghair-zaruri lekin
jo zaruri hai wo insan nahin karta hai
hai ye mumkin ho wahi shakhs munafiq 'alam'
jo bazahir koi nuqsan nahin karta hai

64768 viewsghazal • English