kaise tewar hain ab hawa ke dekh
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
kaise tewar hain ab hawa ke dekh
ghar se pahle diya jala ke dekh
us ke khat mein koi dilasa dhund
koi jumla ghata badha ke dekh
shahr mein khak to milegi nahin
koi afwah hi uda ke dekh
un ka diwan kuchh to kaam aae
haal-e-dil 'mir' ko suna ke dekh
us ki mahfil mein jae rota hua
nama-bar ko sikha padha ke dekh
gar mera raqs dekhna hai to
kuchh mere kan mein bata ke dekh
us ki khushbu kahin gai to nahin
ghar ke parde hila hila ke dekh
aaine rahm-dil bhi hote hain
shart yeh hai ki sar jhuka ke dekh
hanste hain ya udas hote hain
pas walon ko dur ja ke dekh
ghar se pahle diya jala ke dekh
us ke khat mein koi dilasa dhund
koi jumla ghata badha ke dekh
shahr mein khak to milegi nahin
koi afwah hi uda ke dekh
un ka diwan kuchh to kaam aae
haal-e-dil 'mir' ko suna ke dekh
us ki mahfil mein jae rota hua
nama-bar ko sikha padha ke dekh
gar mera raqs dekhna hai to
kuchh mere kan mein bata ke dekh
us ki khushbu kahin gai to nahin
ghar ke parde hila hila ke dekh
aaine rahm-dil bhi hote hain
shart yeh hai ki sar jhuka ke dekh
hanste hain ya udas hote hain
pas walon ko dur ja ke dekh
12116 viewsghazal • English