kaj-kulahi ko yaqin tha ghut ke mar jaenge log hum ye kahte the ki sadkon par nikal aaenge log zulmaton ki tegh ne kata ujale ka gala be-hisi ka daur jab sochenge pachhtaenge log aaj apni zat se sach bolna bhi jurm hai kal sar-e-mahfil hamari baat dohraenge log kat gai zanjir-e-zulmat subh ke aasar hain tegh ki jhankar par ab raqs farmaenge log sar jhuka kar zulm sahna bhi sarasar zulm hai karbala taza lahu tarikh dohraenge log shahr ke viran sannate se ghabrae hue dasht ki aabaadiyon ko dhundte aaenge log