kakul-o-ruKH hi nahin sham-o-sahar aur bhi hain

By johar-siddiqiJanuary 15, 2022
kakul-o-rukh hi nahin sham-o-sahar aur bhi hain
ek tum hi nahin arman-e-nazar aur bhi hain
dagh-e-dil aur bhi hain zakhm-e-nazar aur bhi hain
shoala-e-gul ke siwa shoala-e-tar aur bhi hain


husn wale teri in nichi nigahon ki qasam
mahfil-e-husn ke aadab-e-nazar aur bhi hain
ek gham-e-dost pe mauquf nahin betabi
markaz-e-silsila-e-dard-e-jigar aur bhi hain


masjid-o-dair-o-kharabaat pe kuchh khatm nahin
dil salamat to gulistan-e-bashar aur bhi hain
rahbar thak gae ab dekhiye kya hota hai
qafile ko abhi darpesh safar aur bhi hain


rahnumaon ke nishanat-e-qadam hi pe na chal
ham-safar sham-e-sar-e-rah-guzar aur bhi hain
zor-e-bazu pe nahin bas dil-e-insan ki qasam
chahe insan to rah-e-fath-o-zafar aur bhi hain


24884 viewsghazalEnglish