kal aasman jaise koi shola-zar tha
By balraj-hairatJanuary 2, 2024
kal aasman jaise koi sho'la-zar tha
suraj ke dubne mein bhi kitna waqar tha
is anjuman mein chhanti hamari to kis ke sath
kamzoriyon ka nam wahan inkisar tha
hota bhala na 'arsh pe us ka dimagh kyon
aakhir wo barg-e-khushk hawaon ka yar tha
har chand us ki aanch se ruhen jhulas gain
jismon ka lams phir bhi bada khush-gawar tha
itna bhi koi shakhs na tanha ho zist mein
sara jahan raat mera gham-gusar tha
'hairat' kuchh us ka haal hamein bhi sunaiye
jis baada-kash ko baada-parasti se 'ar tha

71416 viewsghazal • English