kal nashat-e-qurb se mausam bahaar-andaza tha kuchh hawa bhi narm thi kuchh rang-e-gul bhi taza tha thak ke sang-e-rah par baithe to utthe hi nahin had se badh kar tez chalne ka yahi khamyaza tha aaina donon ke aage rakh diya taqdir ne mere chehre par lahu tha ru-e-gul par ghaza tha mujh ko mallahon ke giton se mohabbat hai magar raat sahil par hawa ka shor be-andaza tha ab to kuchh dukh bhi nahin hai dagh bhi jata raha kal isi dil mein yahin ek zakhm tha aur taza tha go yaqini to nahin the mere takhmine magar jo tujhe pesh aaya us ka kuchh mujhe andaza tha mere auraq-e-pareshan dekhne wale kabhi main kitab-e-ishq tha aur dil mera shiraaza tha aankh mein us ki chamak thi par hawasnaki bhi thi rang us ke rukh pe tha lekin rahin-e-ghaza tha josh-e-girya mere rone ka ye shor-e-baz-gasht kuchh na tha ek kucha gard-e-sabr ka aawaza tha jaane andar kya hua main shor sun kar ai 'salim' us jagah pahuncha to dekha band wo darwaza tha