kal raat main shikast-e-sitamgar se KHush hua
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
kal raat main shikast-e-sitamgar se khush hua
wo ro pada to dil mera andar se khush hua
dariya tha chand-raat thi aur us ka sath bhi
lekin main ek aur hi manzar se khush hua
khush wo hai jis ke waste duniya sarab hai
us ki khushi bhi kya jo mayassar se khush hua
us aasman ke niche nahin aisi koi baat
jo khush hua wo apne muqaddar se khush hua
ruk sa gaya tha aankh ki khushki ke darmiyan
chhalka to main bhi apne samundar se khush hua
main us ke ham-safar se mila is tapak se
andar se jal ke rah gaya bahar se khush hua
gham bantana to rasm-e-jahan hai magar 'jamal'
wo khush hua to main bhi barabar se khush hua

84766 viewsghazal • English