kal raat mere sath ajab hadisa hua suraj pighal ke meri hatheli pe aa gira dekhe hain meri aankhon ne manzar ajab ajab ek ped mere shahr ka sayon ko kha gaya sahra mein aab aur samundar mein ret hai ya-rab main aaj kaun si duniya mein aa gaya kaisa tamasha dekha tha hum ne ye raat bhar tare chamak rahe the magar aasman na tha rahzan to khud hi dar ke guphaon mein chhup gae ab rah-rau ko lutta phirta hai rasta in saaton ko subh kahen bhi to kis tarah suraj uga hua tha andhera chhata na tha baadal baras rahe hain musalsal magar 'khumar' dariya tamam khushk hain jharnon ko kya hua