kal tak jo mere sath tha aghyar ki surat

By ahmed-arsalanApril 18, 2023
kal tak jo mere sath tha aghyar ki surat
aane laga hai pesh wo ab yar ki surat
khadsha hamein hota hai wahan kaun hai apna
ek jaisi hi hoti hai jahan chaar ki surat


lachaar sa be-bas sa wo masum sa bachcha
phirta hai gali-kuchon mein akhbar ki surat
peshani pe jo hath rakhega wo masiha
khil jaegi sukdi hui bimar ki surat


jab yaad teri aa ke satati hai ai 'ahmad'
jazbaat ubhar aate hain ashaar ki surat
11644 viewsghazalEnglish