kala ambar pili dharti ya allah

By nida-fazliNovember 11, 2020
kala ambar pili dharti ya allah
ha-ha he-he hi-hi-hi-hi ya allah
kargil aur kashmir hi tere nam hon kyun
bhai bahan mahbuba beti ya allah


pir payambar ko ab aur na zahmat de
chulha chakki roti sabzi ya allah
ghi misri bhi bhej kabhi akhbaron mein
kai dinon se chae hai kadwi ya allah


tu hi phul sitara sawan hariyali
aur kabhi tu nagasaki ya allah
32939 viewsghazalEnglish