kali kali ke baja raazdar hain hum log chaman ko fakhr hai jin par wo khar hain hum log lahu se apne gulistan ko sabza-zar kiya bahut khulus ke aaina-dar hain hum log haqir jaan ke thukra rahe hain ahl-e-chaman chaman mein apni jagah khud bahaar hain hum log kuchh aisa gardish-e-dauran ka dekhte hain fusun ki aaj ahl-e-gulistan pe bar hain hum log sitam ye hai ki zamane ka gham uthane par qarar pate nahin be-qarar hain hum log yahi hai dawat-e-aish-o-nishat roz-o-shab khushi ka zikr nahin ashk-bar hain hum log hamare ahd-e-guzishta ki dekhiye tarikh khud apni shan mein zi-iftikhar hain hum log qadam qadam pe masaib utha rahe hain 'khizr' khuda-gawah ki phir gham-gusar hain hum log