kali raat ka nakhra dekho zalim kaise itraati hai taron ka kamkhab pahan ke chand ko aksar bahkati hai takiye par sargoshi rakh ke kan ki baali so jati hai zahrile nagon ki sansen raat ki rani mahkati hai chand samundar mein utre to jal ki machhli mar jati hai