kaliyan talash karte hue Khaar tak gae
By mahwar-sirsiviJanuary 3, 2024
kaliyan talash karte hue khar tak gae
apne 'amal se manzil-e-dushwar tak gae
tarikiyon se nur ki diwar tak gae
zulfen sanwarte hue rukhsar tak gae
na chahte hue bhi 'ayaadat ke waste
darwesh ban ke roz dar-e-yar tak gae
samjhi na kaenat-e-mohabbat ke pech-o-kham
parda-nashin log bhi bazar tak gae
qatil se ye subut mitaya na ja saka
qatre hamare khun ke darbar tak gae
baisakhiyan tarashne walon se puchhiye
kitnon ke ghar ujad ke ashjar tak gae
aisa nahin ke maslahatan chup rahe sabhi
kuchh haq-parast log shahryar tak gae
masrur ho gaya wo mera sar utar kar
qatil ke hath kab meri dastar tak gae
jazba hamara ratti barabar na kam hua
ye aur baat jang mein hum haar tak gae
majnun ki kya bisat hai 'mehwar' ke samne
sahra mein bas gae to wo hum dar tak gae
apne 'amal se manzil-e-dushwar tak gae
tarikiyon se nur ki diwar tak gae
zulfen sanwarte hue rukhsar tak gae
na chahte hue bhi 'ayaadat ke waste
darwesh ban ke roz dar-e-yar tak gae
samjhi na kaenat-e-mohabbat ke pech-o-kham
parda-nashin log bhi bazar tak gae
qatil se ye subut mitaya na ja saka
qatre hamare khun ke darbar tak gae
baisakhiyan tarashne walon se puchhiye
kitnon ke ghar ujad ke ashjar tak gae
aisa nahin ke maslahatan chup rahe sabhi
kuchh haq-parast log shahryar tak gae
masrur ho gaya wo mera sar utar kar
qatil ke hath kab meri dastar tak gae
jazba hamara ratti barabar na kam hua
ye aur baat jang mein hum haar tak gae
majnun ki kya bisat hai 'mehwar' ke samne
sahra mein bas gae to wo hum dar tak gae
32201 viewsghazal • English