kaliyon ko hansi aa jati hai phulon pe nikhaar aa jata hai
By ishrat-jahangirpuriJanuary 3, 2024
kaliyon ko hansi aa jati hai phulon pe nikhaar aa jata hai
taqdir-e-chaman jag uthti hai jab jaan-e-bahaar aa jata hai
pi lete hain khud apne aansu ghat jata hai un ke tan ka lahu
sayyaad asiron ke aage jab zikr-e-bahaar aa jata hai
tanha hai to is ki fikr na kar ho rah-e-talab mein garm-e-safar
'ushshaq ka dil bahlane ko manzil ka ghubar aa jata hai
aaya jo 'anadil par na taras be-jurm kiya paband-e-qafas
sayyaad 'abas ab hamdardi kya ja ke waqar aa jata hai
un ko hon mubarak maikhane jo sirf hain mai ke diwane
mujh tak to khayal-e-saqi hi masti ba-kanar aa jata hai
zahid tu hamare 'isyan par yun tanz na kar mayus na kar
jab ashk-e-nadamat bahte hain rahmat ko bhi pyar aa jata hai

43740 viewsghazal • English