kam nahin hai ranj-o-gham mein ye khushi mere liye baadalon se jhankti hai chandni mere liye us ki aankhon mein nami hai munh se kuchh kahta nahin ek aziyyat ban gai hai khamushi mere liye phir ghalat-fahmi ki chingari hawa dene lagi us ne likkha hai ye khat hai aakhiri mere liye raqs karti hai meri parchhain us ki yaad mein ab to jina ho gaya hai lazmi mere liye apne sare khwab sheron mein saja deti hun main bais-e-taskin-e-dil hai shairi mere liye barf ke mausam mein bhi ghar se nikalna qahr tha jis taraf bhi main gai ek aag thi mere liye raat andheri aur main tanha musafir ai 'saba' kis qadar mushkil hui hai zindagi mere liye