kamal-e-ishq mein soz-e-nihan baqi nahin rahta

By aarif-naqshbandiApril 21, 2024
kamal-e-ishq mein soz-e-nihan baqi nahin rahta
bhadak jate hain jab sho'le dhuan baqi nahin rahta
jabin to phir jabin hai aastan baqi nahin rahta
jahan tum ho kisi ka bhi nishan baqi nahin rahta


tumhein dekhun to kya dekhun tumhein samjhun ko kya samjhun
mohabbat mein to apna bhi guman baqi nahin rahta
unhin se puchhiye ye un ke dil par kya guzarti hai
bahaaron mein bhi jin ka aashiyan baqi nahin rahta


kabhi yaad un ki aai hai kabhi wo khud bhi aate hain
mohabbat mein hijab-e-darmiyan baqi nahin rahta
mohabbat ras aati hai to chha jati hai duniya par
bigadti hai to phir nam-o-nishan baqi nahin rahta


khizan mein lala-o-gul ka bharam bhi khul hi jata hai
hamesha to fareb-e-gulsitan baqi nahin rahta
usi manzil mein aate hain kahin dair-o-haram 'arif'
harim-e-dil se bach kar aastan baqi nahin rahta


79831 viewsghazalEnglish