kamal-e-zabt ki hogi bayan tafsir kaghaz par

By ayyub-khan-bismilJune 15, 2022
kamal-e-zabt ki hogi bayan tafsir kaghaz par
raqam kar dunga aisi dil-nashin tahrir kaghaz par
musawwir ne lahu apna nichoda hai bahut is mein
takallum kar rahi hai ab teri taswir kaghaz par


wo jis ne umr bhar dekha nahin hai jang ka maidan
bahut khush hai bana kar wo bhi ek shamshir kaghaz par
bahut mushkil hai tujh ko main zamane se chhupa paun
mere ashaar karte hain teri tashhir kaghaz par


abhi kitne mahazon par watan ko jang ladni hai
ye leader kar rahe hain dekhiye taqrir kaghaz par
sar aankhon par mere ashaar rakhte hain diwane log
junun ki mil rahi hai mujh ko ye tauqir kaghaz par


tasalsul jari hai sher-o-sukhan ka aaj-kal 'bismil'
nazar aai hai khwabon ki mujhe tabir kaghaz par
87908 viewsghazalEnglish