kaman shikasta hai tarkash mein bhi Thikana nahin

By baqar-naqviJanuary 2, 2024
kaman shikasta hai tarkash mein bhi thikana nahin
wo tir kya chale jis ka koi nishana nahin
to phir ye 'ishq bhala kaise surkh-ru hoga
hamein chhupana nahin aur unhen dikhana nahin


ye ashk hi nahin jazbaat ke farishte hain
jo ho sake to palak se inhen girana nahin
tum apne zulf ki khushbu sanbhaal kar rakhna
ki aaj-kal ki hawaon ka kuchh thikana nahin


diya hai har nae mausam ne ek dard naya
purana zakhm hamare liye purana nahin
hamara haq hai ki hum kuchh kahen kahen na kahen
ghazal hamari kisi mulk ka tarana nahin


31418 viewsghazalEnglish