kanch aankhon mein chubhona to nahin banta hai
By sajid-raheemFebruary 28, 2024
kanch aankhon mein chubhona to nahin banta hai
phir wahi khwab pirona to nahin banta hai
jab ki khud tu ne judai ko chuna apne liye
phir ye har shab tera rona to nahin banta hai
'ain mumkin hai tera lams karamat kar de
warna pital kabhi sona to nahin banta hai
tu sada de to na mud kar tujhe dekhun kaise
koi patthar mera hona to nahin banta hai
sirf ek teri hi marzi ke hai tabe' ye dil
sab ke hathon mein khilauna to nahin banta hai
kal kisi waqt yahi 'ishq ke tamghe honge
dil ke har dagh ka dhona to nahin banta hai
hum ne mana ki kahani hai usi ki lekin
us ka har bab mein hona to nahin banta hai

83690 viewsghazal • English