kanch ki zanjir tuti to sada bhi aaegi aur bhare bazar mein tujh ko haya bhi aaegi itr mein kapde basa kar mutmain hai kis liye ba-wafa hu ja ki yun bu-e-wafa bhi aaegi dekh le sahil se ji bhar ke machalti lahr ko is taraf kuchh der mein mauj-e-fana bhi aaegi dudhiya nazuk gale mein bandh le tawiz ko aaj sunta hun ki basti mein bala bhi aaegi raat ke pichhle pahar dastak ka rakh lena khayal patte khadkenge zara aawaz-e-pa bhi aaegi ujli ujli khwahishon par nind ki chadar na dal yaad ke rauzan se kuchh taza hawa bhi aaegi ja chuke sare bagule fikr ki kya baat hai khet ko sairab karne ab ghata bhi aaegi daur ke logon ko nazron mein basa kar dekh le qurb mil jaega aankhon mein jila bhi aaegi shahr-e-na-pursan ke manzar naqsh kar le zehn mein aankh raste mein koi manzar gira bhi aaegi dil ki masjid mein kabhi padh le tahajjud ki namaz phir sahar ke waqt honton par dua bhi aaegi zindagi ka ye maraz 'afzal' chala hi jaega tere hathon mein kabhi khak-e-shifa bhi aaegi