kanTon ki bhi zaban pe gulistan ki baat hai

kanton ki bhi zaban pe gulistan ki baat hai
lab par raqib ke gham-e-jaanan ki baat hai

gul ki qaba ko dekha to bulbul ne ye kaha
ahl-e-junun mein chaak-gareban ki baat hai

aariz pe un ke zulf-e-pareshan hai aaj kyon
shayad mariz-e-ishq ke darman ki baat hai

azm-e-jawan agar hai naya aashiyan bana
gulshan mein aaj jashn-e-charaghan ki baat hai

hain ja-e-andalib yahan chand baal-o-par
zindan ki baat ab hai na darban ki baat hai

hosh-o-khirad bahaar mein rukhsat hue 'kamal'
daman rafu kiya to gareban ki baat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close