kar apni baat ki pyare kisi ki baat se kya liya hai kaam bata tu ne is hayat se kya yahan to jo bhi hai rahi hai band galiyon ka nikal ke dekha hai kis ne hisar-e-zat se kya thi band band bahut guftugu-e-yar magar khule hain uqda-e-dil us ki baat baat se kya wo chup lagi hai ki hansta hai aur na rota hai ye ho gaya hai khuda jaane dil ko raat se kya ye raaz-e-dair-o-haram hai kisi ko kya malum kahaniyon ko ilaqa hai waqiat se kya shikast ka to kisi ko jahan guman bhi na tha nikal gae hain wo maidan hamare hat se kya hain roz-e-abr ke mushtaq-e-did to lakhon liya hai kis ne magar abr ke sifat se kya har ek to apni gharaz le ke hum se milta hai uthaen faeda kis ke talluqat se kya koi to maqsad-e-sher-o-adab bhi hoga 'umar' na hon jo kaam ki aisi nigarshat se kya