kar chuke nauhe bahut guzre zamane ke liye
By suhail-ahmad-khanNovember 22, 2020
kar chuke nauhe bahut guzre zamane ke liye
kuchh nae shahron ke dukh bhi hain sunane ke liye
is tarah tezi se bhaga ja raha hai har koi
jaise chhupna ho kahin khud ko bachane ke liye
ek lamhe ke liye bhi khud se hum na mil sake
zindagi thi shahr walon ko dikhane ke liye
thi khabar sasti milegi aaj nafrat us jagah
khalq tuti hai muqaddar aazmane ke liye
kaun sunta tha nagar ke shor mein dhimi sada
dil se uthti thin nawaen dub jaane ke liye

70798 viewsghazal • English