kar-e-ahl-e-wafa jehd-o-taslim hai hum bhi taslim mein kya tammul karen

By aslam-ansariOctober 27, 2020
kar-e-ahl-e-wafa jehd-o-taslim hai hum bhi taslim mein kya tammul karen
zat ke dasht kitne hi darpesh hain kya karenge agar phir tasahul karen
ai sarir-e-qalam ai zamir-e-jahan aap apni zaban mein jo likhna ho likh
kitne ahwal hain na-nawishta abhi kya munasib hai un se taghaful karen


hum pareshan-o-ashufta logon mein bhi ek zamana hua ek dhiraj sa tha
ab to hum aise logon ki khwahish bhi hai ku-o-barzan mein ja ta-ba-shab ghul karen
mere alfaz mein mera khun-e-jigar kaise kaise jhalakta hai dekhen kabhi
saz-e-ishq-o-hawas go ham-ahang hain phir bhi ishq-o-hawas mein taqabul karen


ab to ahl-e-hunar ek hi rasta aap aison ki khatir khula hai abhi
har ata-e-zaman par tashakkur karen har jafa-e-jahan ka tahammul karen
kahna sunna bhi ek waz-e-tahzib hai kahne sunne mein naqs-e-maraatib nahin
ek zara chup rahen hum bhi gulzar mein pas-e-rasm-e-hikayat-e-bulbul karen


tutti hain rawayat-e-mina-o-mai kya karenge ewaz mein maqamat ke
ahl-e-tadbir abhi waqt-e-tadbir hai aaen aur ehtimam-e-tasalsul karen
wo jo arbab-e-danish hain un ke liye ek nisab-e-amal sujhta hai mujhe
kya hain wo aur kya hai ye nazm-e-jahan kuchh tafakkur karen kuchh tammul karen


11571 viewsghazalEnglish