kar-e-mushkil hi kiya duniya mein gar main ne kiya par na us be-rahm ke dil mein guzar main ne kiya dil mein laila-e-tamanna panw chhalni tez dhup kis qayamat ka safar tha jo safar main ne kiya tera apna rasta tha mera apna rasta is pe bhi ai zindagi tujh ko basar main ne kiya muskura kar us ne jab bahen gale mein dal din phir jo us se ranj tha sarf-e-nazar main ne kiya zinda the dushman to mujh ko bazuon pe naz tha aankh ko un ke guzar jaane pe tar main ne kiya chashm-e-kam se dekhta tha mujh ko aakhir ek din us ke zoam-e-kham ko zer-o-zabar main ne kiya harf us ke qamat-e-tahsin pe sajte hi gae 'shahid' un ko is tarah harf-e-hunar main ne kiya