kar ke KHwab aankh mein pahle to wo lae KHud ko

kar ke khwab aankh mein pahle to wo lae khud ko
aur phir mujh ko jagane ko satae khud ko

hai ye lazim ki malaek bhi bashar ho jaen
ab jo insan farishta nazar aae khud ko

aakhri marhala aaya hai mohabbat ka ab
ab diya khud hi bujha kar bhi dikhae khud ko

wo pazirai kahin ishq mein milti hi nahin
jo bhi rutha hai wo ab khud hi manae khud ko

mujh mein tu tujh mein talashun hun main sirat apni
sang is tarz pe aaina bulae khud ko

waqt-e-duniya ko samajhne mein karen zaya kya
haif ab tak to na hum hi samajh aae khud ko

rahzan-e-asr hi le jae na aage ki rah
kah do 'atif' se ki tezi se badhae khud ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close