kar len samjhauta sabhi aaj ke haalat se ab sab ki pahchan hai pahchan ke isbaat se ab hai wajud us ka jo kaghaz pe kare sabit ye baz auqat hai kaghaz bada auqat se ab ya to tum baat karo phone pe ya chat karo sab ko parhez hi rahta hai mulaqat se ab hum bhi bhejenge emoji tum agar bhejoge nisbat apni rahi bas itni hi jazbaat se ab phone ki batri na charge ho to mar jaen farq padta nahin hai aur kisi baat se ab ai 'nawa' sikh jadid ab to riwayat sabhi tujh ko hasil nahin hai kuchh bhi shikayat se ab