kar na tu baat jawedani ki

By navin-joshiNovember 11, 2020
kar na tu baat jawedani ki
intiha tai hai har kahani ki
bhap hona to teri qismat hai
ek taswir hai tu pani ki


kuchh taghayyur se khauf khate hain
kuchh ibaadat karen rawani ki
hum pe husn-e-huruf hai zaea
hum ziyarat pe hai maani ki


kya sahi aur kya ghalat hoga
baat hai teri tarjumani ki
tum karo baat zard patton ki
hum kare baat shakh-e-fani ki


umr se kya bahaar ka lena
nahin muhtaj ye jawani ki
15787 viewsghazalEnglish