kar rahe hain war mere yar mujh par
By vijay-potter-singhadiyaOctober 9, 2023
kar rahe hain war mere yar mujh par
raham kar kuchh to kahani-kar mujh par
int main us par girana chahta tha
aur hua ye gir gai diwar mujh par
khatm ho jati wahin par ye kahani
tum utha lete agar hathyar mujh par
tu to mera dost hai mat dekh mauqa
samne se hi chala talwar mujh par
'ishq mein achchhi nahin hoti khamoshi
jaan kuchh to bol ta'ne mar mujh par
kya zarurat hai bata de dost ab to
aaj-kal kyon aa raha hai pyar mujh par
nam hi mera 'wijay' hai dhyan rakhna
suit karti hi nahin hai haar mujh par
raham kar kuchh to kahani-kar mujh par
int main us par girana chahta tha
aur hua ye gir gai diwar mujh par
khatm ho jati wahin par ye kahani
tum utha lete agar hathyar mujh par
tu to mera dost hai mat dekh mauqa
samne se hi chala talwar mujh par
'ishq mein achchhi nahin hoti khamoshi
jaan kuchh to bol ta'ne mar mujh par
kya zarurat hai bata de dost ab to
aaj-kal kyon aa raha hai pyar mujh par
nam hi mera 'wijay' hai dhyan rakhna
suit karti hi nahin hai haar mujh par
88292 viewsghazal • English