kar saki kuchh na teri zulf-e-siyah-fam mera kufr ke saye mein badhta raha islam mera saqiya mez pe rahne de abhi jam mera mast aankhon ne teri kar diya ultam mera kya kaha tu ne budhape mein na le nam mera husn tha kham tera ishq nahin kham mera ladte hi pahli nazar jaan tasadduq kar di ho gaya sath hi aaghaz ke anjam mera tum agar pyar se dekho to abhi ji jaun nigah-e-naz mein hai zist ka paigham mera 'bum' chupke se wahin de diya bosa us ne kan mein jab ye kaha nind ka inam mera