karam ba-nam-e-sitam us pe be-hisab hua

karam ba-nam-e-sitam us pe be-hisab hua
jo lut gaya rah-e-ulfat mein kaamyab hua

nazar nazar ne pinhaya libas-e-tar-e-nazar
pas-e-naqab hua jo bhi be-naqab hua

wo sarfaraaz hua karobar-e-ulfat mein
bara-e-mashq-e-jafa jis ka intikhab hua

na zindagi ne qubula na maut ne puchha
kharab-haal zamana bahut kharab hua

utar gae jo kisi ki hansi ke sadqe mein
un aansuon ka hua to kahan hisab hua

ye kya ki apni bhi pahchan ho gai mushkil
bil-akhir apni nigahon se bhi hijab hua

utar saka jo khara waqt ki kasauti par
maal-e-kar wo zarra bhi aaftab hua

dil-o-nazar ki bahaaron ke rukh palatte hi
'rishi' gulab ka chehra bhi aab aab hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close