karam nahin to sitam hi sahi rawa rakhna talluqat wo jaise bhi hon sada rakhna kuchh is tarah ki hidayat mili hai ab ke mujhe ki sar pe qahr bhi tuten to dil bada rakhna na aansuon ki rawan nahr aankh se karna ab us ki yaad bhi aae to hausla rakhna kise mila hai milega kise murad ka phal so ghaebana nawazish ki aas kya rakhna ajab nahin ki warud-e-habib ho jae zamana tang-nazar hai to dil khula rakhna jo dosti ke liye be-qarar rahta hai wo koi chaal na chal jae phir pata rakhna sitara arsh se tutega ek farsh ki samt tum apna ghar dar-o-diwar tak saja rakhna wafa-shiar bhi qudrat tha ruthne wala rawayatan bhi na nam is ka bewafa rakhna