karenge ahl-e-nazar taza bastiyan aabaad

By allama-iqbalOctober 24, 2020
karenge ahl-e-nazar taza bastiyan aabaad
meri nigah nahin su-e-kufa-o-baghdad
ye madrasa ye jawan ye surur o ranai
inhin ke dam se hai mai-khana-e-farang aabaad


na falsafi se na mulla se hai gharaz mujh ko
ye dil ki maut wo andesha o nazar ka fasad
faqih-e-shahr ki tahqir kya majal meri
magar ye baat ki main dhundta hun dil ki kushad


kharid sakte hain duniya mein ishrat-e-parwez
khuda ki den hai sarmaya-e-gham-e-farhad
kiye hain fash rumuz-e-qalandari main ne
ki fikr-e-madrasa-o-khanqah ho aazad


rishi ke faqon se tuta na barhaman ka tilism
asa na ho to kalimi hai kar-e-be-buniyaad
15534 viewsghazalEnglish