karenge choT hawaon pe kargar to ho

By navin-joshiNovember 11, 2020
karenge chot hawaon pe kargar to ho
bahaw un ka badal jae ye asar to ho
safar ye zindagi ka is qadar hai lazim kyon
safar mein hum hain magar hum mein ye safar to ho


maani manzilon aur raston ke hai tab hi
ki lautne ko musafir ke koi ghar to ho
han lutf ruthne ka bhi unhen mile lekin
hamare pas manane ka kuchh hunar to ho


jabin pe khak yahan ki laga ke ghumenge
gali se apni kabhi un ka bhi guzar to ho
jidhar wo hai wahan hum na ho to kidhar jaen
idhar wo ho nahin sakte to hum udhar to ho


rahi talash hamein umr bhar sahar ki so
talash mein kahin apni bhi ek sahar to ho
nazar agar hai teri to nazar nahin aati
nazar ko aae nazar aisi ek nazar to ho


70869 viewsghazalEnglish