karne laga dil talab jab wo but-e-KHush-e-mizaj

karne laga dil talab jab wo but-e-khush-e-mizaj
hum ne kaha jaan kal us ne kaha hans ke aaj

zulf ne us ki diya kakul sumbul ko rashk
chashm-e-siyah ne liya chashm se aahu ke baj

us ki wo bimar chashm dekh raha tu jo dil
rah to sahi main tera karta hun kaisa ilaj

kaam pada aan kar chah se jis din hamein
chhut gae us roz se aur jo the kaam-kaj

dil to na dete hum aah le gai lekin 'nazir'
us ki jabin ki haya aur wo aankhon ki laj


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close