karni paDegi jism se pahchan jaan kar

By farhat-ehsasFebruary 26, 2024
karni padegi jism se pahchan jaan kar
tu kya karegi mujh ko meri jaan jaan kar
wo dekhta hai yun meri aaraish-e-badan
karta hun chaak khud ko gareban jaan kar


allah miyan ke sath tha mullaon ka hujum
la-haul padh diya unhen shaitan jaan kar
dariya ne par utar di kashti meri magar
mujh ko dubo diya mera saman jaan kar


tauhid par jo zor diya hum ne 'ishq mein
but dar ke bhage hum ko musalman jaan kar
44225 viewsghazalEnglish