karta hun bin tere yunhi aksar guzar-basar
By qamar-malalFebruary 28, 2024
karta hun bin tere yunhi aksar guzar-basar
jaise kisi gharib ki be-zar guzar-basar
duniya ka har ta'am mayassar hai chand ko
aur ba'z ki hai nan-e-jawin par guzar-basar
pahle jo qais ke liye uthte the aaj-kal
un pattharon ki hai mere sar par guzar-basar
lagta hai phir qarib hain faqon ke roz-o-shab
hoti hai chand roz se behtar guzar-basar
ek shakhs aisa chahiye mujh ko bhi in dinon
jis ke bina na ho sake pal-bhar guzar-basar
har dil sanam-kada hai yahan par 'qamar-malal'
karte ho tum hi ek khuda par guzar-basar

29792 viewsghazal • English