karta tha apne husn pe kya kya qayas chand

By shehzad-anjum-burhaniJanuary 5, 2024
karta tha apne husn pe kya kya qayas chand
thahra hua hai chhat pe teri bad-hawas chand
ye kis hasin ka chehra-e-zartab bujh gaya
pahle kabhi to itna nahin tha udas chand


honton ki kashtiyon mein badan par ho gae
dariya ko dekhta hi raha be-libas chand
ta'bir koi khwab ki lao ki us ke pas
karta tha ji-huzuri ba-sad-iltimas chand


sari faza mein 'mir' ki wahshat si chhai hai
phirta hai us ke ghar ke bahut aas-pas chand
'anjum' usi ne apna muqaddar bana diya
hum ko mila tha ek sitara-shanas chand


47352 viewsghazalEnglish