kashakashi ko jo tayyar bhi nahin rahte
By haris-bilalFebruary 6, 2024
kashakashi ko jo tayyar bhi nahin rahte
jahan mein aison ke aasar bhi nahin rahte
wo khush hai jis ko kushada-dili mayassar hai
ki tang raste hamwar bhi nahin rahte
zamin se kat ke falak har kisi ka hota gaya
bichhadne walon ke me'yar bhi nahin rahte
jo kaam pahle-pahal mumkinat mein bhi na hon
samay ke sath wo dushwar bhi nahin rahte
ziyaada dur 'adu bhi nahin hue mujh se
bahut qarib mere yar bhi nahin rahte
jahan pe apne hi rahne na den wahan 'haaris'
ba-wajh-e-ta’na-e-aghyar bhi nahin rahte

99176 viewsghazal • English