kashmakash mein khul na jae aap ka sar dekhna
By ahmed-rais-nizamiMay 26, 2024
kashmakash mein khul na jae aap ka sar dekhna
panw phailane se pahle apni chadar dekhna
ye sitam-samaniyan haq mein hamare jaengi
jit hogi sabr ki haarega khanjar dekhna
phir har ek jaanib khilenge khushnuma taza gulab
phir udae jaenge har su kabutar dekhna
qarz ke malbe mein dab kar rah gaya har ek makin
kitna mahnga pad gaya hai khwab mein ghar dekhna
chaar paise jo kamane lag gaya lakht-e-jigar
ab tumhein dikhlaega ye apne tewar dekhna

79592 viewsghazal • English