katib-e-taqdir mere haq mein kuchh tahrir ho ranj ho ya shadmani kuchh to daman-gir ho aab-rud-e-zist ke kuchh ghunt zahrile bhi hon main ne kab chaha tha har qatra mujhe iksir ho ahd-e-azadi se behtar qaid-e-zindan ho to phir tod dene ki qafas ko kyun koi tadbir ho tez lahren aa hi jati hain mitane ke liye jab lab-e-sahil gharaunda ret ka tamir ho gham rahe pinhan dar o diwar dil ke darmiyan kya zaruri hai ki karb-e-zist ki tashhir ho