kaTta hi nahin jaane mera kaisa safar hai

By abdullah-minhaj-khanAugust 28, 2024
katta hi nahin jaane mera kaisa safar hai
lagta hai mera ret ke sahraon mein ghar hai
tanha to kabhi mujh ko wo rahne nahin deta
main kuchh bhi karun us ko to har aan khabar hai


har shakhs ko mil jata hai paison se yahan pyar
kaise yahan insan hain kaisa ye nagar hai
ek shakhs yahan shab mein jalata hai gharon ko
phir sab ko batata hai ki dekho ye sahar hai


ye jaan lo kuchh mujh se kabhi jhut na kahna
ai yar mere khauf-e-khuda tum ko agar hai
zahir jo na kar phir bhi hamein kuchh to bata de
khwabon mein tere kaun hai ye kis ka asar hai


kal raat mere khwab koi le gaya 'minhaj'
ab nind hai aankhon mein na tanhai ka dar hai
73021 viewsghazalEnglish