kaun aaya raste aaina-khane ho gae raat raushan ho gai din bhi suhane ho gae kyun haweli ke ujadne ka mujhe afsos ho saikdon be-ghar parindon ke thikane ho gae jao un kamron ke aaine utha kar phenk do be-adab ye kah rahe hain hum purane ho gae ye bhi mumkin hai ki main ne us ko pahchana na ho ab use dekhe hue kitne zamane ho gae palkon par ye aansu pyar ki tauhin the aankhon se gire moti ke dane ho gae