kaun aisa hai yahan dil se mujhe yaad kare waqt thoda sa mere waste barbaad kare ho gain bastiyan viran yahan pal bhar mein koi to aae jo phir se inhen aabaad kare pa-ba-zanjir koi dar pe mansur nahin haq ki baaton pe bhala kaun yahan sad kare kaisa pindar hai dil qaid hain khushiyan jis mein in parindon ko hi aazad ye sayyaad kare murda jismon mein muqayyad hain tadapti ruhen koi zindan-e-nihan se unhen aazad kare jis ki buniyaad mohabbat ki ho zamin 'sumbul' aisa ek shahr yahan koi to aabaad kare