kaun batae kaun sujhae kaun se des sidhaar gae un ka rasta takte takte nain hamare haar gae kanton ke dukh sahne mein taskin bhi thi aaram bhi tha hansne wale bhole-bhaale phul chaman ke mar gae ek lagan ki baat hai jiwan ek lagan hi jiwan hai puchh na kya khoya kya paya kya jite kya haar gae aane wali barkha dekhen kya dikhlae aankhon ko ye barkha barsate din to bin piritam be-kar gae jab bhi laute pyar se laute phul na pa kar gulshan mein bhanwre amrit ras ki dhun mein pal pal sau sau bar gae hum se puchho sahil walo kya biti dukhiyaron par khewan-haare bich bhanwar mein chhod ke jab us par gae