kaun hai tujhse jo do-chaar nahin

By munshi-banwari-lal-sholaSeptember 26, 2023
kaun hai tujh se jo do-chaar nahin
ek main hi gunahgar nahin
hae fasl-e-bahaar-e-josh-e-junun
yan gareban mein ek tar nahin


saikdon dard ek nahin darman
lakh gham koi gham-gusar nahin
hum nahin wo jo ek bhi manen
aap karte rahen hazar nahin


sab sahi gul bhi mai bhi mutrib bhi
tu nahin hai to kuchh bahaar nahin
wasl kya jab na hijr ke hon maze
wa'da kya jis ka intizar nahin


ghair se mil ke kyon nikalte ho
main kudurat ka kuchh ghubar nahin
hath aa jae aap ka daman
hashr ka bhi kuchh intizar nahin


kya sabaat-e-do-roza par mere
zindagi ka kuchh e'tibar nahin
saikdon bar ghair se bigdi
main to main tum kisi ke yar nahin


us ke kushton ka kya pata 'shoala'
kahin turbat nahin mazar nahin
75408 viewsghazalEnglish