kaun kahta hai ki mar jaane se kuchh hasil nahin zindagi us ki hai mar jaana jise mushkil nahin han ye sara khel parwanon ki jaan-bazi ka hai sham-e-raushan par madar-e-girya-e-mahfil nahin aam hi karna padega un ko faiz-e-iltifat ghair hargiz iltifat-e-khas ke qabil nahin muntakhab main hi hua mashq-e-taghaful ke liye wo taghaful-kesh meri yaad se ghafil nahin halqa-e-girdab hai gahwara-e-ishrat mujhe zauq-e-asaish mera minnat-kash-e-sahil nahin dekhiye kya ho hamare shauq-e-manzil ka maal panw mein taqat ba-qadr-e-duri-e-manzil nahin lakh dil qurban us chashm-e-nadamat-kesh par yani mujh ko aarzu-e-khun-baha-e-dil nahin marja-e-barq-e-bala hai ai 'wafa' duniya-e-ishq hasil-e-hasrat yahan juz hasrat-e-hasil nahin