kaun kis ka azab hota hai

By umood-abrar-ahmadMarch 1, 2024
kaun kis ka 'azab hota hai
sab ka apna hisab hota hai
rog lagta hai jin ke sine ko
un ka aansu gulab hota hai


tum ne roka ho jis qadar us ko
'ishq to be-hisab hota hai
husn chhupta nahin chhupane se
kuchh to lazim hijab hota hai


jo samajhte nahin meri mansha
bas unhen ijtinab hota hai
hum ghalat hain ghalat hi rahne do
kaun behtar janab hota hai


nind aati nahin kabhi un ko
jin ki aankhon mein khwab hota hai
hashr apna bigad lete hain
tab wo hasil khitab hota hai


ab to haalat dekh kar mujh ko
dard bhi be-hisab hota hai
bol pata nahin jo baaton se
us ka chehra kitab hota hai


jo kisi ko nahin hua hasil
wo mera intikhab hota hai
dil usi zad mein qaid rahta hai
jo nahin dastyab hota hai


dil ko samjha liya magar phir bhi
kyon mujhe iztirab hota hai
sach to ma'lum bhi nahin padta
har kisi par naqab hota hai


waqt de kar 'umud' dekho na
kaun khud be-naqab hota hai
20070 viewsghazalEnglish