kaun-o-makan mein yaro aabaad hain to hum hain is arz aur sama ki buniyaad hain to hum hain wahdat se ta-ba-kasrat sab se zuhur apna gar ek hain to hum hain haftad hain to hum hain sab marz-bum-e-alam hai jalwa-gah apni viran hain to hum hain aabaad hain to hum hain aqlim-e-khair-o-shar mein hai hukm apna jari gar dad hain to hum hain be-dad hain to hum hain is gulshan-e-jahan mein sab hai bahaar apni gar qumri hain to hum hain shamshad hain to hum hain hain jauhar apne yaro har rang mein numayan gar tegh hain to hum hain jallad hain to hum hain hai dast-gah apni sab shai mein kar-farma gar fasd hain to hum hain fassad hain to hum hain ye dargir-e-alam sab apni haalaten hain gar dam hain to hum hain sayyaad hain to hum hain ye raaz hum ne 'asim' 'khadim'-safi' se paya gar rushd hain to hum hain irshad hain to hum hain