kaun samjhega bhala yan ek dukhiyare ka dukh

By mustafa-adeebJanuary 4, 2024
kaun samjhega bhala yan ek dukhiyare ka dukh
kis ko fursat hai sune wo mujh se banjare ka dukh
haalat-e-dil ru-baru us ke bayan junhi karun
kash wo samjhe usi lamhe mein bechaare ka dukh


dhol pita ja raha hai 'ahd ki tauqir ka
kaun samjhe is sadi ke dubte tare ka dukh
mujh ko andaza nahin hai wus’at-e-aflak ka
par suna hai 'arsh tak jata hai dil-haare ka dukh


76728 viewsghazalEnglish